// //

Bahuchara Mata | Bahucharaji temple and darshan timings and history Mahesana Gujarat

Bahucharaji Mandir Hindu dharma ke bahot prakhyat devi Bahuchar mata ka Mandir hai  jo ki Mahesan Jille ke Becharaji naam ke gaao me hai . Becharaji Mahesan jille ka ek chhotasa gao hai . Aur mahesana Gujarat ki ek bahot hi badi city hai .

Bahucharaji Temple History

Bahuchra mata ka purana mandir sn 1839 AD me Manaji Gaikwad sarkar ne banwaya tha . Shree Bahucharaji mata ji india ke shakti pitho me se hi ek hai ye Sankhalpur me banaya gaya Mandir hai . Bahucharaji mandir ke paththar pe sundar akrutiya bana ke pure mandir ko decorate kiya gay hai . South aur North Side ke darwazo pe sundar zarukho se unki shobha badhai gai hai .

 Ye mandir Gujarat me sthit dusre prasidhdha mandir jese ke Ambaji , Dwarka , Dakor , Pavagadh inke jitna hi mahtvapurna hai . Iss mandir ke sath bahot se dant kathae judi hui hai . Yaha ma Bahechara devi ne bahot baar apna sakshat parcha diya hai . Yaha hajaro bhaktgan mata ke darshan ke liye aate hai Ma Bahuchara Devi ke darshan pa kar khud ki dhanya mante hai .

Bahuchara mata ke bare batae to mata Murge pe birajman hai issi vajeh se solanki Raj ke waqt unke jande pe Murge ka nishan raheta tha . Mana jata hai ke mata ke darshan se humare me koi bhi defect ho wo kum thik ho  jati hai aur hume sare dukjho ka nivaran mil jata hai .

Bechraji Mata Temple Darshan timings

 Adress-Shankhalpur , Bechraji , Mehsana District , Gujarat India
Timings-5:00 AM to 9:00PM

Bahuchara Mata Aarti Video