Taranga gujarat ke Mahesan jille me ek Jain tirth Sthal hai . Ye un kuchh tirth stalo me se ek hai jaha dono Shwetambar aur Digambar ke Devsthan ho . Yaha ka sabse purana mandir 1121 me Solanki Raja Kumarpal ne apne Guru Aacharya Hemchandra ki salah se banaya tha . Yaha Bhagwan Ajitnath ki 2.75 mtr unchi mukhya murti hai .
|
Taranga Temple |
Taranga temples
|
Taranga Jain Tirth |
Taranga hill pe Digambar aur Swetambar dono ke mandir hai per yaha ka mukhya mandir Bhagwan Ajitnath ji ka hai yah mandir bahot hi vishal aur bhavya hai . waise yaha Digambara ke 14 Mandir aur talahti me ek digambar Dharma shala hai . Kaha jata hai ke yaha Ganadharas , Vardutta aur Sagar Dutta ko moksha prapt hua tha .
History of Taranga Hill
Taranga Hill ka naam Taran Mata jo ki yaha ki sthaniya Devi hai unke upar se rakha gaya hai . Hill ka pura hissa jungle se gira hua hai jaha aap ko mandir tak pahochne ke bahot raste mil jate hai . Yaha ka main mandir solanki raja kumar pal ne apne jain Dharm swikar karne ke baad nirman kiya tha . Ye jain mandir bahot hi khubsurat banaya gaya hai jo ek nazar me hi ankh me utar jae .
Best timings to visit the taranga temples
Taranga temple ki tirth yatra ka vishesh timing Kartik Aur Chaitra mahine ki Purmi ko hota hai jab bahot sare Jain Shradhdhalu yaha darshan karne aate hai .
List of temples and places at Taranga
- Chamunda Mata and Someshwar Mahadeva Temple etc.