// //

Mumbadevi Temple | Mumba Devi Mandir timings Mumbai Maharashtra

Mumba Devi Mandir

Mumba devi mandir Mumbai Maharashra me sthit ek bahot hi pauranik hindu mandir hai jo mata Mumbadevi ka hai . Iss khubsurat mandir ka nirman 18vi sadi ke darmiyan kiya gaya tha .
Mumbai me Koli samaj aur purane mumbai ke sthanik log Mumba devi ko bahot mante hai aur unhe apne rakshak ke rup me sanman karte hai . Devi Mumba ko ek shakti ka avtar mana jata hai . Aaj ye mandir Mumbai ke bhid bhad bhare kapad bajar aur still bajar ke bich me hai . Iss bhid bhad bhare bazar me aap Mumba devi ka mandir fulo ki dukano se gera hua paoge . Yaha har roj sham aur savere Mata ki aarti ki jati hai jisme bahot se log hissa lete hai . Har roj puri duniya se hazaro bhakt ma Mumba ke darshan ke liye mumbai aate hai , jab ki Mumbai city ko bhi naam Mumbai Mumbadevi pe se hi mila hai to hum issi se andaza laga sakte hai ke iss city me Mumba devi mata ka kitna sanman aur logo ki Aastha hogi .
Mumbadevi_temple
Mumba devi


History of Mumba Devi Temple

Mumbadevi Mandir pahele 1675 nw Bori Bunder pe banaya gaya tha . Uske baad iss mandir ko waha se shift kiya gaya aur uska naya construction Zaweri Bazar me kiya gaya 1737 me . Koli Machhuaare aur Dravid yaha Mumba devi ki puja aur prathna karne yaha aate hai .
Dant kathao ke anusar Mumbadevi aanth Shastro dharan karke Bhagwan Bhramha Dwara bheja gaya tha . Bhramhaji ka Mumba Devi ko bhejne ka uddesh ek Mubaraka naam ke rakshas ko marna tha q ke usne puri duniya me apna Aatank fela rakha tha . Tab Mumbaraka apne gutno per gir gaya aur Ma Se daya ki bhikh mangte hue apna naam lene ke liye gidgidane laga . Aur Ma se unka mandir banane ki anumati leli . Iss prakar Mumbadevi ka bhavya Mandir Shaher ke dil me Mumbaraka dwara banaya gaya.

Mumbadevi temple timings

Mumba devi mandir me aap Somwar ke ( Monday ) siva kisi bhi din darshan kar sakte hai . Yaha subheh sham 2 bar Mata ki aarti hoti hai uska bhi laabh aap har roj le sakte hai .