Bagdana Dham Bajrangdas bapa ka
mandir hai jo Bhavnagar ke Mahuva ke pas me hai . Ye mandir Bapa Sitaram ke
dwara 9 january 1977 me banvaya gaya tha . Ye mandir 24 gante khula raheta hai
. Unhone yaha pahele ek madhuli banvai
thi . Yah ape bhagvan Ram ka bhi chhota sa mandir hai .
Bajrangdas Bapa or Bapa Sitaram Bagdana
bajrangdas_Bapa_Sitaram_Bagdana |
Bajrangdas Bapa ke family
background ko dekhe to Rajsthan ke Adhevada se shuru hota hai , bapa Ramanandi
Sadhu parivar se belong karte the . Unke mata ka naam Shiwar Kunwarbai aur
pitaji ka naam Hiradas tha . Bapa sitaram ka janm Janjariya Hanuman Mandir me
hua tha . Jo bhavnagar ke Adhewada naam k eek chhote se Gao me hai . Unke janak
ke waqt Bapa ke mata pita ne unka naam Bhaktiram rakha tha . Bahot se logo se
ye suna gaya hai ke Bajrangdas Bapa Shesh Narayan ka sakshat rup the . Unhone
apni padhai higher secondary school tak ki thi.
1915 me bapa ne paheli bar vishwa
prasidhdha nasik ke kumbh mele ki mulakat apne Guru Mahant ke sath kari . Chitra kut parvat ke pas Mandakini nadi ke
kinare par bapa ne apni sadhna khatam ki aur unhe sakshat prabhu ka gnyan hua .
Bajrangdas bapa ke bare me ek aur
sach ye hai ki unhone 28 saal ki umar me yog sidhdh kar liya aur unke guru ne
unhe apni khud ki mythology per chalne ki salah di aur unhe Bajrangdas ji naam
diya .
Uske baad bapa jab 30 saal ke hue
tab unhone Himalay ki yatra ki aur uske baad unhone bahot se sthano pe vaas
kiya jese Kaanan Vistar , Mumbai , Palitana , Bagdana aur Karmodar .
Mana jata hai ke bapa ne apne ye
pauranik yatra ke darmiyan bahot se chamtkar kiye par unhone kabhi inke piche
apni badhai nai ki .
Bapa Bajrangdas Chamtkar
Unki chamtkarik kathao me se ek
katha aise hai ke jab wo Mumbai me the tb waha pani ki bahot kami thi to waha
log samundar ke khara pani ka upyog karne lage tab bapa ne waha khodna shuru
kiya aur kuchh hi dino me waha se mitha pani mila aisi bahot si kathae hai bapa
ke chamtkar ki .
Bajrangdas bapa ne 9 january 1977 ko subeh 5 baje Bagdana Ashram ki madhuli
me apne pran tyag kiye .