Shamlaji temple Gujarat ke Arvalli District me basa hua hindu dharma ka ek bahot hi prakhyat mandir hai . Ye Bhagwan shri Krushna ko samarpit hai . Aur bhi yaha kai hindu Dev Devio ke mandir hai .
Shamla ji mandir bahot hi purana mandir hai aur isko paththaro se tarsaha gaya hai . Iski banavar humare itihas ke karigaro ki bahot hi shresht karigiri ko pradarshit karta hai . Yaha purane kuchh shila lekh bhi paye jaate hai jisse hum humari history me jankh sakte hai . Shamlaji mandir bhagwan Vishnu ya Bhagwan Krishna ko samrpit hai . Yaha darwaje pe mile hue tame ke lekh pe hume likha hua dekhne ko milta hai ke iss mandir ki marmmad ka kam Tintoi Thakur saab ke Dwara kiya gaya tha .
Shamlaji |
Shamlaji Temple
Shamlaji Mandir Meshvo nadi ke kinare par jungli pahadiyo se gira hua hai jis per safed resham ki dhaja fahrai jati hai . ye Reshmi Safed Dhaja ke karan iss mandir ko Dholidhajawal ke naam se bhi jana jata hai .Shamla ji mandir bahot hi purana mandir hai aur isko paththaro se tarsaha gaya hai . Iski banavar humare itihas ke karigaro ki bahot hi shresht karigiri ko pradarshit karta hai . Yaha purane kuchh shila lekh bhi paye jaate hai jisse hum humari history me jankh sakte hai . Shamlaji mandir bhagwan Vishnu ya Bhagwan Krishna ko samrpit hai . Yaha darwaje pe mile hue tame ke lekh pe hume likha hua dekhne ko milta hai ke iss mandir ki marmmad ka kam Tintoi Thakur saab ke Dwara kiya gaya tha .