// //

siddhivinayak temple | History and Darshan Timings of Siddhivinayak Mandir Mumbai

Siddhivinayak Mandir Bhagwan Ganpati ka bahot hi su prasiddha hai . Ye mandir Prabhadevi mumbai me sthit hai . Iska nirman 19 nov 1801 me  Laxman Vithu aur Deubai Patil ne karaya tha . Ye mumbai ka sabse dhanvan mandir hai .
Ye ek chhotese mandap ka bahot hi sundar mandir hai . Iske Lakdi se bane darvazo pe bahot hi sundar kalakari se ashtvinayak ki chhabi banai gai hai . Andar se mandir ka gumat sone ki parat chada hua hai . Aur center me bhagvan Ganeshji ki murti biraj man hai .  Yaha pe hanuman ji ka bhi ek chhotasa mandir hai .
Siddhivinayak_Ganpati_mandir
Siddhivinayak temple

About Siddhivinayak Mandir Mumbai

Ye Mandir ek chhotisi dharmik jagah me se bhaot badi dharmik jagah ban gya hai . Iss mandir me darshan ke liye india ke bahot hi jane mane aur bade bade log aate hai jisme poloticians se leke boolywood kalakaro ka bhi samavesh hota hai .
Siddhivinayak bhakato me "Navasala Pavanara Ganpati " se bhi jane jate hai .

History of Siddhivinayak temple

Siddhivinayak mandir ka nirman 19 nov 1801 ko Laxman Vithu naam ke contractor dwara kiya gaya tha . Jinko finance Deubai Patil ne kiya tha jinko koi santan nai tha unhone ye mandir banvaya kyo ki unke jesi aur mahilae jo nisantan ho wo bhagwan ke darshan kar ke aur ashirwad pa ke santan prapt kare . Yaha ek Mandar vriksha (tree) hai jisme swayambhu Bhagwan Ganesha ke darshan hote hai .

Mandir ke pas me chhota sa lake hai jiska nirman Nardulla ke dwar kiya gay tha  . 1950 aur 60 ke dashak me mandir ki pratishta me isafa hua aur mandir jyada se jyada famous hone laga aur jyada se jyada log yaha darshan ke liye aane lage .