// //

Walkeshwar Temple timings and address | Walkeshwar Mumbai Ban ganga

Walkeshwar mandir Baan Ganga ke naam se bhi jana jata hai , jo mumbai ke Malabar Hill ke pas hindu bhagwan Shiv ka mandir hai . Mandir ke ekdum karin Baan Ganga tank hai .
walkeshwar
walkeshwar Mahadev


Walkeshwar Mandir ki Dantkatha

Dantkatha ke anusar Hindu bhagwan Ram jab Ayodhya se Lanka apne dharma patni sita ko wapis lene ja rahe the tab wo yaha thodi der ruke the . Waha Bhagwan Ram ko Bhagwan Shiv ki puja karne ki salah di gai . To Ram ne Unke bhai Laxman ko Shiva ki murti lene bheja jab Laxman ko Murti leke wapas aane me bahot wawt laga to Ram ne khud mitti me se Bhagwan Shiv ke linga ki rachna ki uar uski puja ki . Aur issi tarah yaha ke Shiva linga ko sansrit shabdo ke anusar naam diya gaya Valuka Iswar . Shiva ka Avtar  .

Ek aur bhi katha hai ke jab Raam bhagwan ko waha pyas lagi tab waha aaspas koi pani ya pani ka strot nai tha to Bhagwan ne apna Baan chalaya aur waha sakshat Ganaga ne avtar liya isiliye iss jagah ko Baan Ganga ke naam se bh jana jata hai  .

Walkeshwar temple Mumbai History

Mandir aur uske pas wala Baan Ganaga water tank 1127 me Gaud Sarswat Bhrahman Laxman Prabhu ke dwara banvaya gaya tha . Aur jab 16 vi sadi me portuguese ne india par hamla kiya tab iss mandir ko tod diya gaya tha . Fir se iss mandir ko 1715 me Rama Kamath ke dwara rebuilt kiya gaya wo bhi ek Sarswat Bhramhan the . Mandir ke sath sath Baan Ganga tank ke aaspas kai aur chhote mote mandir banaye gae .

Darshan timings

Aam tor pe ya mandir mahine ke har Punam (Purnima)  aur Amas (amavasya) ko bhakto ki bhid se bhara raheta hai . To mahine ke ye do din Walkeshwar ke darshan ke timing ke liye ekdum sahi hai .