// //

Vajreshwari temple history timings location address and more information about vajreshvari mandir .

Vajreshwari yogini Devi mandir hindu devi vajreshwari ko samarpit hai . ye mandir maharashtra ke Vajreshvari naam ke town me hai jo mumbai se 75 km ki duri par hai . Ye jagah pahele Vadvali ke naam se jani jaati thi bad me iska naam vajreshwari devi ke sanman me badal ke Vjrashvari kar diya gaya . Ye shaher Tansa nadi ke kinare par basa hua hai .

Legend About Vajreshwari temple

Vadvali jagah ke bare me humare puranamo likha hua milta hai jisme hume jaankari milti hai ke yaha Bhagvan vishnu , Bhavan Ram aur pursharam ne mulakat li thi . Parshuram ne yaha Yajna karaya tha.

Yaha ki mukhya devi ka mandir Vajreshwari jo Vajreshvari bhi kaha ja sakta hai jo Vajrabai aur Vajra yogini ke naam se bhi jani jati hai aur jo Maa parvati ka rup mana jata hai .

Hajaro sal pahele Kalikala naam ka rakshas Vadvali me Rishi-munio ko pareshan karta tha aur usne Devo ke samne yudhdh chheda hua tha , yaha sab uske prakop se dukhi the . To sabhi Devo aur logo ne milke Vashishthaji ko apne musibat ka samadhan puchha to vashisht ji ne Devi ma ko prasanna karne hetu Tri-chandi Yagya ka aayojan kiya jisme unhone agni me Ghee ki ahuti di gai per usme Indra ko prasanna nai kiya  to Indra ne apna Vajra us Yagya ki taraf gumaya tab dare hue Devtagan aur Vashishtji ne Devi se prarthna ki tab Devi khud pragat hue aur na sirf unhone ne vajra ko nigal liya aur sare Rakshaso ko maar dala . Tab Rama ne Ma devi ko Vadvali me rahene ki prarthna ki aur tab se Devi Ma Vajreshwari ke naam se prachlit hue . Aur uske baad yaha Vajreshwari mandir ka nirman kiya gaya .

Ek aur legend ke anusar sare devo ne mil ke Devi ko Kalikala ka naash karne ki prarthna ki tab Parvati Devi ne khud pragat ho kar devo ko vachan diya ke wo sahi samay per aake sab rakshaso ka naash karengi tabtak Devo ko khud ladna hoga , Per jab Indra ne apna vajra Kalikala pe chalaya tab Usne ye vajra tod diya tabhi Parvati ji ne vaha avtar kiya aur sare rakshaso ka naash kiya issi vajeh se Ma parvati Vajreshwari ke naam se prachlit hui .

History of Temple vajreshwari

Agar history ko dekhe hum to Shree Vajreshwari Devi ka original temple Gunj me tha jo ki Vadavli se 8 km ki duri per hai . Isko portuguese logo ne tod diya tha uske baad uska fir se nirman Vadavli me kiya gaya .
History me 1739 me Chimaji Appa jo Peshwa Bajirao ke chhote bhai bhi the aur military comandor bhi the , Chimaji aur Portuguse ke bich me 3 saal se war chal raha tha per Chimaji Portuguse ka Fort bhed nai pa rahe the tab unhone Ma Vajreshwari se prarthna ki ke agar wo iss fort Ko gira sake to wo Maa ka mandir banvaenge tab khud Devi Vajreshwari ne unke sapne me aake unko bataya ki uss kille ko kese jitna hai aur Chimaji wo yudhdh jite aur jese ki unho ne blotha unhone Mandir banvaya YAHA jiska naam Vajreshwari mandir rakha gaya .

Temple Festivals

  • Navratri at Vajreshwari temple
  • Ram Navami at Vajreshwari temple

Yaha mata Vajreshwari ke sanman me bahot hi bade fair (Mela) ka bhi aayojan kiya jata hai . jo Chaitra mahine ki Amavasya ko hota hai .

Vajreshwari Mandir Address And Contact Details

Address: Vajreshwari, Maharashtra 401204
Phone:098908 69086
 

Temple Timings

06:00 to 12:00 (All days of the week(Morning))
17:00 to 20:00 (All days of the week(Evening))