Ambaji
Ambaji Mandir |
Aarasur ka Ek prasiddh Shaktipith
Bharat
me yaatra dhaam ke roop me prasidhh aisa shri aarasuri Ambaji Mata
mandir Gujarat ke Banaskantha jille ke Danta tahsil me hai. Jo ki ek
Purana Prasiddh Shaktipith sebhi jana jata hai. Ambaji tirth dhaam me
lakho bhaktjan Maa amba ke darshan ke liye aate hai. Ambaji Mandir pe
358 suvarn kalash hai jo ki pure bharat me ye ek hi aisa shaktipith hai.
History of Ambaji mandir
Maa
Amba ke pragatya ke gatha ke anusar Prajapati Daksh ne Bruhadpati sak
naam ke maha Yagya ka aayojan kia hua tha tab unhone sare Devtao ko
aamantrit kia hua tha lekin unke jamai Bhagawan Shankar ko amantrit nai
kia tha , Apne pita ke yaha yagya hai ye sun kar Sati Devi Apne pati ke
virodh ke bavjud pita ke waha pahuch gae the. Waha apne pati ko amantrit
na kia jaane per aur pati ki ninda sun ne per Sati devi ne us Yagya
kund me apne praano ki bali dedi. Bhagwan Shankar ne ye jaan kar aur
apni patni ko mrut dekh kar Tandav shuru kia tab puri srishti ka nash
na ho jae isliye Bhagvan Vishnu ne apne chakra se Sati ke Sharir ke
tukde kar ke puri Pruthvi per ver dia . Sati ke sharir ke bhaag aur
Gahene 52 jagaho per pahoche , aur un jagaho per ek ek Shakti aur ek ek
Bhairav Sthir hue.
Tantra Chundamani ma is gatna ka ullekh kia gaya hai.Iske anurup ek shaktipith Arasur Ambaji me mana jata hai.Arasur me Mataji ka hriday ka hissa aaya hua manajata hai . Bhagvat Gita me bhi ullekh hai ke Shri Krushna ke sar ke baal utarne ke vidhi Aarasur me ma amba ke sthan pe ki gai thi , us waqt Nand Yashoda ne Mataji ke sthanak pe Jaware ugae the aur saat din tak waha ruke the . aaj bhi wo jagah Gaabar parvat per hai. Vanwas darmyan Bhagwan Ram aur Laxman bhi Arbuda Junglo me Shrungi Rushi ke Aashram me padhare the , Rushi ji ne unko Maa amba ke darshan hetu bheja tab mata ji ne prasann ho ke Ravan ko marne ke liye Ram ko ajay Baan diya. Aur us Baan se bhagwan ne ravan ka vadh kia .Ambaji ke varnan stutio ki parampara Purano se leke Aadi Shankracharya aur Arvachin itihas me varnan hota hai . Mandir prag aitihasik yug se lag raha hai per uplabdh paristhio ko dekhte hue abhi jo sthanak hai wo 1200 sal purana malum hota hai.