Mahudi Mandir Gujarat ke Gandhinagar district ke Mansa
taluka me Madhumati nadi ke kinare basa hua nagar hai . Yah Jain shraddhalu aur anya jati ke logo ke
liye ye Gantakarna Mahavir and Padmaprabhu devo ka ek tirth sthal hai . Ye pahele Madhupuri ke
naam se prachlit nagar tha .
Mahudi Mandir |
Mahudi jain Mandir
Mahudi jain Mandir ek jain sadhu Bhudhdhisagar ke dhwara san
1917 CE me banaya gaya tha . Yaha
paththr pe Bramha Lipi me likha ek shila lekh milta hai jisme ye sab jaan ne milta
hai . Yaha pahela foundation paththar
1916 me Vadilal Kalidas Vora kid an kiyi gai hui jamin par dala gaya tha . Uske
baad mandir ke vyavastha ke dhyan rakhne hetu ek trust ki rachna ki gai . aur
22 inch sangemarmar ke paththar se bani bhagwan Padmaprabha ki murti ki sthapna
kari gai . Aur yaha rakshak devta Gantakarna Mahavir ki murti ki bhi sthapna
kari gai . Aur baad me ek mandir Budhdhisagar suri ji ko bhi samarpit kiya gaya
.
Ghantakarna Mahavir at Mahudi Temple
Ghantakarna Mahavir |
Mahudi mandir me Ghantakarna Mahavir ka Mandir ek rakshak ke
rup me sthapit kiya gaya hai . kaha jata hai ke Ghantakarna Mahavir Apne agle
janam me Tungabhadra naam ke kshatriya raja the aur jo log kum nasib wale hote
hai unke rakshak mane jate hai . Tabhi
aajbhi unke hatho me Dhanush Ban hai . Ye manajata hai ke unke pahele janam me
Sukhdi khan eke shokhin the issiliye Shradhdhalu
Bhagwan ko sukhdi Prasad ke rup me chadete hai . Fir ye Prasad sare bhakto ke
dwara liya jata hai . Aisa mana jata hai key aha se Prasad gar le jana apshukan
mana jata hai to Prasad ko yahi khatam kiya jata hai . Matlab Prasad ko mandir
parisar ke bahar nahi le ja sakte .
Ghantakarna Mahavir ke mandir ke bagal me ek bada sa ghant
thodi unchain par lagaya hua hai. Bhakt gan yaha chadke iisko baja te hai aur
apne man ki murad puri hone ki prarthna karte hai .