// //

somnath mandir | temple history in hindi

Somnath temple history

12 jyotirlingo me se pahela aur ek  Somnath mandir  Veraval port prabhas Patan Saurashtra Gujarat me Sthapit hai.

Somnath_Mahadev_Mandir_History
Somnath Mahadev Mandir History


Ancient Glory of Somnath temple

Somnath Prabhas khsetra ke naam se jana jata hai ye hindu pavitra jagaho me se ek jagah hai.Iska itihas aur purano aadi kai jagaho me sandarbh paya jata hai.
Somnath mandir ke Garbha Gruh ko humesha hire aur ratno se chamkta damakta rakha gaya hai,yaha Nanda deep Hamesha kanauji attar se prakashit rakha gaya tha.Mandir ka khajana bahot hi bada aur hamesha surakshit raakha jata tha.

Bhagvan ki pucha aur Abhishek ke liye Chandan sugandhit pani humesha Haridwar,Prayag aur Kashi se laya jata hai.Jab ki kisi khas dharmik prasang par ful Kashmir se laye jate hai. Har roz ki rojinda puja ke liye 1000 Brahmins ko nirdharit kia gaya hai.Aur takriban Hajar se jyada nrutya karo ko har roj nrutya ke liya nirdharit kia jata tha.
Puja ka ye dharmik athal das hajar gaao jitna dhan upaj kar raha tha. Iss Mandir ko 12 jyotirlingo me se prathmik jyotirling mana jata hai,Kyu ke yaha ke jyotirling ko swayambhu mana jata raha hai ye hamesha jagrit rehta hai. Yaha lakho shradhhalu darshan ke labh lete hai aur khud ko dhanya mehsus karte hai. Yaha karodo Shadhdhalu karodo rupaye daan kar ke hamesha somnath ko ek dhanvan mandir rakha hai,.


Sthala Purana Of Lord Somnath Mandir

Chandra pahele the jinhone somnath ka vardan prapt kia ho.
Skand Puran Prabhas kand ke anusar, Somnath ki katha is tarah hai
.
Chandra ne Daksha ki 27 betiyo se shadi ki thi per wo rohini se jyada pyar karta tha, Baki 26 patnio ko bahot hi apman aur upekshit mahesus kia wo sab apne pati se nirash hogai aur iski shikayat apne pitaji se ki.Dakhsa apni betio ko aise dukhi dekh ke bahot dukhi hue, aur apne jamai ko samjane ki bahot koshish ki  per Chandra ne unki ek nai suni aur Chandra ko Daksha ne shrap dia ke uskaaakar kum ho jaega.

Chandra ko ye shrap milne se sare Dev pareshan ho gae aur sare Dev mil ke is Bhrahma ji ke pas is samasya ka nivaran dhundh ne pahoche, Bhramha ji ne unhe bataya ki iss shrap se chhutne ke liye ek hi rasta hai aur wo hai Prabhas Kshetra Maha Mrutyunjay per Vrishabh Shankar ko puja prarthana karna. Chandra 6 mahino ke liye tapasya pe chala gaya aur ant me bhagvan Shiv ne prasanna ho kar pragat hue aur Chandra ko vardan diya ke Ek mahine me pandrah din uska aakar badhega aur pandrah din uska aakar gatega, isse Chandra bahot khush hua aur yaha Shankar khud Chandra ke liye pragat hone per Shankar Someshwar ke naam se prasiddh hue, Aur Devo ne yaha Someshwar naam ka kund banvaya aur ye mana jata hai ke iss kund me dubki lagane se insan ke sare pap dhul jaate hai.

Chandra ko Som bhi kaha jata hai issliye Ye Jyotirling Somnath ke naam se prasidhh hua aur Chandra bahot prakashit hota hai to is jagah ko Prabhaspattana se bhi jana ja raha hai.
 Fir Somnath mandir Ravana ke dhwara Treda yug me banaya aur VikramAaditya ne kaliyuga darmiyan banaya.