// //

Jalaram bapa Mandir History Timing Virpur Gujarat

About Jalaram Bapa

jalaram_bapa
Jalaram Bapa
Jalaram bapa ka janm 1799 me Gujarat ke virpur naam ke gao me hua tha. Unke mata Raaj bai ko sadhu aur santo ki seva karne ka bahot shokh tha. Koi saadhu sant virppur me Rajbai ke aatithya ke laabh ke bina nai ja sakta tha. Jalaram bapa ke pita ka naam Pradhan Thakkar tha jo ki apne vyavsay me vyast rahete the. 16 saal ki umar me Jalaram ke vivah Thakkar Pragji Somaiya ki beti Virbai se karae gae.Halaki Jalaram Bapa apne garelu jivan aur pita ke vyavsay ko sambhalne me khush nai the, wo jyadatar sadhu santo ki seva karne me hi lage rahete the. Jalaram apne pita se alag hogae aur apne chacha Valjibhai ke sath rahene lage jinko jalaram bahot pasand the.
Ye spasht tha ke Jalaram puri tarah se apne vaivahik jivan ka tyag karna chah rahe the  par sadbhagya se unke patni  Virbaima ne Jalaram ke maarg ka anukaran karne ka nirnay liya. To jab jalaram ne tirth yaatra ka faisal kia to Virbaima ne bhi unke sath unke raste jaane ka fisla kiya. 18 saal ki aayu me Jalaram ne Fatehpur nivasi Shree Bhojalram ko apna guru banaya aur unse Guru Mala aur Mantra prapt kiya. Apne Guru ke aashirvaad se unhone ek sadavrat khola jaha 24 ghante jaruriyat mando ko khana khilaya jata hai. Waha se koi bhi bhukha nai ja sakta. Ye sab unke akele ke hatho kia gaya jisme Virbaima unko madad karte the. Jaldi hi unki khyati Parmatma ke avtar ke rup me fel gai. Jo koi bhi virpur aata tha chahe hindu ho ya muslim usko bapa ke dwara bhojan khilaya jata tha.

Ek baar Rajkot ke Thakor kei sevaa me chaar arab kaam karte the jinki majduri 4 rupaye thi to unhone majduri me vruddhi ki mang ki jo ki Thakurne mana kar diya to arbone waha se isthifa de diya aur junagadh ke liye nikal pade. Arbone rasto me kuchh pakshio ka shikar kia aur unhe apne baste me dal kar aage badh gae. Wo jab Virpur pahoche to Bapa unko mile aur kaha ki wo pahele bhojan lele fir yaha se aage badhe, to unhone kaha ke wo Muslims hai wo waha nai kha sakte, to Bapane unhe kaha ki Bhagwan ke darbar me jati aur dharam ke koi bhedbhav nai hote aur khana khane ka bahot aagrah kia. Un charo AArabo ne Mandir me bhojan liya per wo sharminda the kyu ke unke thelo me murda pakshi the. Bapa ne wo basta chhua aur kaha ke andar pakshio ko gutan mahesus ho rahi hai ye sunke jab Arbo ne apna basta khola to andar se pakshi jivit nikle aur us kaar najdik ke ped pe ja bethe. Ye dekh kar charo arbi chakit hogae aur unhe samaj aaya ke wo pramatma ki upasthiti me khade hai. Wo Jalaram ke ppero me pad gae aur kaha ki kya unhe Virpur me Nokri mil sakti hai? Jalaram ne kaha ki ke unko nokri ki kyo jarurat hai to unhone apni sari kahani sunayi utne me ek aadmi untki sawari karta pahocha aur usne bataya ki Rajkot thakor unki vetan vrudhhi ki baat man gae hai aur wo unhe wapas lene aaya hai.
 Virpur ke sant ki aisi bahot si kahaniya hai .

About Shri Jalaram Bapa's Temple

Shri Jalaram bapa ki samadhi bhagvan Shree Ram chandra ke charno me  hai. Jo ki mandir me andar jate hi bade darvaje se baayi taraf hai. jaha "jholi aur Danda aur Hanumanji ki murti " kanch ki almari me Samadhi ke pass rakhe gae hai."Jholi aur Danada ke karan hi yaha Jalaram ke darshan karne aaye lakho bhakto ko bhojan parosna mumkin ho saka hai". Ye bhagwan ka Darbar hai yaha chahe koi bhi ho amir ho ya garib ho per ekhi line me beth ke prasad lete hai. Virpur Jalaram Mandir me din ke time bhojan me Ganthiya Bundi aur sabji hoti hai. Aur Sham ke Time Khichdi, Kadhi aur desi ghee hota hai. Sare yaatri khushi khushi ye prasad lete hai.
 Jalaram mandir me 3 bade bade tambe ke bartan hai jo Ganga,Yamuna aur sarswati ke pani se bhare hue hote hai. Mana jata hai ke in bartano me se pani kabhi khatam nai hota aur jo inme se pani pita hai wo sare rogo se mukti pate hai.
Mandir me Ghehu aur anaj pisne ki Ghanti ke 2 pahiye rakhe hue hai jo Jalaram bapa ko Dhangadhra Raja ke dhwara bhet me diye gae the.

About Virpur Gujarat

Virpur Rajkot se 52 km dur ek chhota sa gao hai. Ye national highway no 8b pe basa hua hai. Ye gao Shri jalaram Bapa Ke janm Ke baad Pavitra jagah ban gaya. Virpur ab pure vishwa me prasidhdh hogaya hai. Duniya bhar se log yaha aate hai Jalaram baapa aur Jholi Aur Danda ko dekhne jo ki swayam bhagawan ne Virbai ko pradan kiye the.