// //

Palitana Temples | Jain Tirth Palitana history Timing Shetrunjay Gujarat India

Palitana Bavnagar district ka ek chhotasa city hai , jo jain tirth yatrio me bahot hi famous shaher hai . Palitana ka sabandh pahele se Jain history aur Dantkathao se juda hua hai .
Palitana_mandir
Palitana 


History of Palitana

Kahajata hai ke jain dharm ke pahele tirthankar shri Adinath jo ki Adeshwar ke naam se bhi jane jate hai unhe yaha palitana me hi paheli bar apna dhyan prapt hua  tha . Palitana ka itihas dekhe to ye ek Saurashtra ka bada deshi rajwada tha jo 777 km ka area ke sath 58000 se jyada  log auar  91 chhote bade gao ka samavesh hota tha aur jo Gohil Family ke dhwara shasan kia jata tha .

Shatrunjay Hill at Palitana

Shatrunjay parvat palitana me sthit hai jis ki uchai kafi acchi hai. Manajata hai ke jain dharm ke pahele tirthan kar Adinath ji ne yahi shatrunjay parvat par hi apna dhyan kiya tha . Ye pavarvat jain Samuday me bahot hi pavitra mana jata hai aur hajar tirth yatri iss parvat ki mulakat lete hai . Yaha bahot sare jain mandiro ka nirman kiya gaya hai .

Jain temples in Palitana

Palitan me Shatrunjay pahad duniya ka ek lauta aisa pahad hai ke jis par 900 se jyada mandir banaye gae hai . Palitana jain samajme sabse jyada dharmik aur pavitra tith sthal mana jata hai . Ye duniya ka sabse bada mandiro ka samuh hai jaha 3000 se jyda mandiro ka samuh hai . yaha sare mandir mable ke paththar se banae gae hai  . Palitana ka main mandir Shatrunjay pahadi ki choti per bana hua hai jo Jain dharm ke pahele tirthankar bhagvan Adinath ka hai . Yaha mandir  900 salo se jyada ka itihas pradrshit karte hai .
Palitana Jain mandir ka sanchalan Kasturbhai Lalbhai group ke Anandji Kalyanji trust ke dwara kiya ja raha hai . Yaha parwat pe chadne ke liye 3800 jitne steps banae gae hai .

Palitana me aur famous mandir me Kumarpal Mandir , Vimalshah Mandir aur Sampriti raja mandir hai .