History of Ambaji Gabbar
Gabbar Ambaji |
Humare shastro ke anusar Gabbar Tirth Saraswati nadi ke kinare Aarasur naamak parwato me Ambica jungle me sthapit hai. Ye 51 bahot prachlit aur ancient shaktipeeth me se ek hai.
Gabbar in Ramayana
Ramayan katha ke anusar , Bhagvan Ram aur Laxman Sitaji ko khojte hue Shrungi Rushi ke Aashram pahoche .Jaha unko rushi ne unko Gabbar pe Devi Ambaji ki puja karne ki salah di aur Ram ne Mata ki puja prarthna ki, tab jagat Mata Ambaji ne Ram ko "Ajay " naam ka chamatkarik tir diya jiski madad se Ram ne Ravan ko yudhh me parast kiya.Mundan of Lord Krishna at Gabbar Ambaji
Origin of navratri festival
Mahabharat ke anusar Bhadrapad mahine ke purnima ko Gabbar parvat pe rajkumari Rukmani ne Bhagvan Krishna se shadi karne ke liye apni kuldevi Mata Ambica ka tap kia aur Mata devi ne unko apna lakshya pura karne ke liye vardan diya aur aise Rukmani ji Krishnaji se Shadi karne me kamyab rahe aur unki patrani bane, isi khushi me Rukmani ji ne Navratri tyohar pruthvi per paheli bar manaya aur tab se Navratri Parv ki shuruaat hui.