Hanumanji Mandir Sarangpur Gujarat
Sarangpur Hanuman Mandir
Hanuman bhakto ke sare dukh har lete hai isliye inhe kashtbhanjan dev ke naam se bhi jana jata hai.
Vishal aur bhavya kile ki tarah bane ek bhavan ke bichobich kashtbhanjandev ka ati sundar aur chamtkari mandir hai. Hanumanji ke bhavya mandiro me se sarangpur hanuan mandir ek hai. ye mandir gujarat ke Ahmedabad se Bhavnage ki taraf jaate hue 175 km dur hai.
Kisi raaj darbaki tarah saje iss sundar mandir vishal aur bhavya mandap ke bich 45kg sona aur 95 kg chandi se bane ek sihasan par Hanuman birajte hai.Jinke seer par hire aur jawahrato se saja mukut hai aur pas me soneki gada bhi rakhi hui hai. Unke pairo ke niche shani dev ji maharaj ke darshan hote hai jo sankat mochan ke iss rup ko khaas bana deta hai.
Bajrang bali ke iss rup me bhakto ki badi aastha hai aur wo dur dur se inke darshan ke liye khinche chale aate hai. Manyata hai ki pavanputra ka swarn aabhushano se lada hua aisa bhavya aur durlabh roop kahi aur dekhne ko nai milta hai. Hanumanji ki ye murti bahot hi prachin hai, to iss roop me anjni putra ki shakti bahot hi nirali hai.
Kashtbhanjandev Sarangpur Aarti
Salangpur Hanuman ke iss dham me 2 baar aarti ka vidhan hai, paheli aarti subeh 5.30 baje hoti hai. Aarti se pahele Pavanputra ka Shrungar utara jata hai fir naye vastra pahena kar swarn aabhushano se unka bhavya shrungar kiya jata hai. Aur uske baad ved mantro aur hanuman chalisa ke path ke bich sampanna hoti hai hanuman lala ki ye aarti.
Salangpur Bajarangbali ke ye mandir me aise to bhakto ko roj tata laga hua rehta hai.Lekin mangal aur shani ko yaha lakho bhakt aate hai .Naariyel , pushp aur prasad ka uphar maruti nandan ko bhet karte hai.kuchh bhakt to shayad shani prokopo ko dur karne ko yaha aate hai. Kashtbhanjandev ki mangalvar aur shanivar ko vishesh aaradhana hoti hai, bhakt apne kashto ka aur buri najar ke nivaran ke liye yaha aate hai.Aur mandir ke pujari se bajrang bali ki puja kara kar kashto se mukti pate hai.
Salangpur Bajarangbali ke ye mandir me aise to bhakto ko roj tata laga hua rehta hai.Lekin mangal aur shani ko yaha lakho bhakt aate hai .Naariyel , pushp aur prasad ka uphar maruti nandan ko bhet karte hai.kuchh bhakt to shayad shani prokopo ko dur karne ko yaha aate hai. Kashtbhanjandev ki mangalvar aur shanivar ko vishesh aaradhana hoti hai, bhakt apne kashto ka aur buri najar ke nivaran ke liye yaha aate hai.Aur mandir ke pujari se bajrang bali ki puja kara kar kashto se mukti pate hai.
Other Facts About Sarangpur Hanumanji Mandir
Sarangpur Hanumanji Darshan |
Bajrangbali ke iss dham ko unke anya mandiro se alag aur vishesh sthan dilati hai unke pero me birajman shani ki murti.Kyoki yaha bajrangbali ke charno me stree roop me darshan dete hai. Tabhi to jo bhakt shani prakop se pareshan hote hai ye yaha aakar nariyel chadakar samast chintao se mukti pa jate hai.
kahte hai ke 200 saal pahele bhagwan swaminarayan iss sthan par satsang kar rahe the Swami Bajrangbali ki bhakti me itne lin hogae ki unhe hanuman ke iss divya roop ke daarshan hue jo iss mandir ke nirman ki vajeh bana. Baad me swaminarayan ke bhakt gopalanand swamine yaha iss sundar pratima ki sthapna ki.
kaha jata hai ke ek samay tha jab pure rajya par shani dev ka aatank tha, log shani dev ke atyachar se trast the aakhir kar sab ne hanumanji ke darbar me ye fariyad lagai to hanumanji shani dev ko maarne ke liye pichhe pade to shani dev ne stree roop dharan kar liya kyoki wo jante the ke hanuman ji bhramchari hai to stree par hath nai uthaenge lekin bhagvan ram ke aadesh se hanuman ne shani dev ka ant kia aur aise shani dev unke charno me biraje. Aur bhakto ko shani dev ke prakop se mukti mili.issiliye yaha ki gai puja se aur darshan se shani ke tamam prakop dur ho jate hai.