// //

Pavagadh Mahakali Mandir (temple) history and Timing Gujarat

Pavagadh Mahakali Mandir

Mahakali_Mandir_Pavagdh
Mahakali Mandir Pavagadh

 

 

Pavagadh Mahakali mandir 

jo Hindu aur Muslims ke liye saman rup se ek prasiddha tirth sthal hai. Pavagadh Mandir Gujarat me Baroda se 53 km dur sthit hai. yah gujarat me ek esa thal hai ke jo har roj ki hajaro dharmik gati vidhiyo ka gavah hai. Hajar bhakt is mata mahakali ke aashirvad pane ke liye iss mandir ki mulakat lete hai. Yaha Ma Kali ka Bhayankar rup hone ke bavjud ye mana jata hai ke yaha aane se sari ichhae puri ho jati hai.


History of pavagadh

Kaha jata hai ke Rajput Raja Vanraj Chavda ne Pavagadh ke charnome apne apne budhdhiman mantri Champa ki yad me Champaner ki sthapna ki thi. Unke baad Patai Raval parivar ne yaha shasan kiya aur yaha ki simao ka rakhwala kiya. 
Lok kathao ke anusar kaha jata hai ke Ma kali ne pavagadh me ek aurat ka rup dharan kar ke navratri ke diran garba kiya aur tab Patai Raja jai sinh ne unko kharab nazar se dekha isse gussa ho kar Mata ne Raja ko shrap diya. Natijatan Patai raja ka Mahommad Begdo ke samne parajay hua aur Begdo ne Pavagadh parvat ki simao ko jit liya .

Patai raja ki hatya kar di gai. Mahmud Begdo ne rajnitik karanosar apne rajdhani Ahmedabad se Champaner sthanantarit ki. Usne Champaner me Imarate jese ke Uohra Masjiid, Mandvi, Kirti sthambh,Shalkh Mandir JamaMasjid, Nagina Masjid banakar champaner ka vikas kia. Bagada ke Mahel ke avshesh Ab bhi champaner se 1.25 km dur Vad Talav pe paye jate hai.

About Pavagadh Place Gujarat

Pavagadh Champaner aur Machi ke sath sath ek UNESCO vishwa virasat sthal hai. yaha history aur sanskruti ke sath 1200 sal pradarshit , bhavya historical sangam darshata hai. yah Rajput, Maratha,Muslim aur Angrejo ke shasan ke sabut darshata hai.T Pavagadh mandir tak pahochne ke liye ropeway ki suvidha bhi hai.